خود کو دنیا میں جھونکنا ہے مجھے
Raaz Dehalvi (b. 1983)خود کو دنیا میں جھونکنا ہے مجھے
اور پھر خود میں لوٹنا ہے مجھے
میں نے اس ضد میں کھو دیا سب کچھ
کھو گیا تھا جو ڈھونڈھنا ہے مجھے
تم نے سوچا نہ میرے بارے میں
اپنے بارے میں سوچنا ہے مجھے
لوگ باتیں بنانے لگتے ہیں
آب آنکھوں میں روکنا ہے مجھے
اس سے پہلے کہ پیاس مر جائے
اک سمندر تو سوکھنا ہے مجھے
khud ko duniya mein jhonkna hai mujhe
aur phir khud mein lautna hai mujhe
main ne is zid mein kho diya sab kuchh
kho gaya tha jo dhundhna hai mujhe
tum ne socha na mere bare mein
apne bare mein sochna hai mujhe
log baten banane lagte hain
ab ankhon mein rokna hai mujhe
is se pahle ke pyas mar jae
ik samundar to sukhna hai mujhe