کون کس کا عذاب ہوتا ہے
Umood Abrar Ahmad (b. 1999)کون کس کا عذاب ہوتا ہے
سب کا اپنا حساب ہوتا ہے
روگ لگتا ہے جن کے سینے کو
ان کا آنسو گلاب ہوتا ہے
تم نے روکا ہو جس قدر اس کو
عشق تو بے حساب ہوتا ہے
حسن چھپتا نہیں چھپانے سے
کچھ تو لازم حجاب ہوتا ہے
جو سمجھتے نہیں مری منشا
بس انہیں اجتناب ہوتا ہے
ہم غلط ہیں غلط ہی رہنے دو
کون بہتر جناب ہوتا ہے
نیند آتی نہیں کبھی ان کو
جن کی آنکھوں میں خواب ہوتا ہے
حشر اپنا بگاڑ لیتے ہیں
تب وہ حاصل خطاب ہوتا ہے
اب تو حالات دیکھ کر مجھ کو
درد بھی بے حساب ہوتا ہے
بول پاتا نہیں جو باتوں سے
اس کا چہرہ کتاب ہوتا ہے
جو کسی کو نہیں ہوا حاصل
وہ مرا انتخاب ہوتا ہے
دل اسی زد میں قید رہتا ہے
جو نہیں دستیاب ہوتا ہے
دل کو سمجھا لیا مگر پھر بھی
کیوں مجھے اضطراب ہوتا ہے
سچ تو معلوم بھی نہیں پڑتا
ہر کسی پر نقاب ہوتا ہے
وقت دے کر عمودؔ دیکھو نا
کون خود بے نقاب ہوتا ہے
kaun kis ka azab hota hai
sab ka apna hisab hota hai
rog lagta hai jin ke sine ko
un ka ansu gulab hota hai
tum ne roka ho jis qadar us ko
ishq to be hisab hota hai
husn chhupta nahin chhupane se
kuchh to lazim hijab hota hai
jo samajhte nahin miri mansha
bas unhen ijtinab hota hai
ham ghalat hain ghalat hi rahne do
kaun behtar janab hota hai
nind ati nahin kabhi un ko
jin ki ankhon mein khwab hota hai
hashr apna bigar lete hain
tab wo hasil khitab hota hai
ab to halat dekh kar mujh ko
dard bhi be hisab hota hai
bol pata nahin jo baton se
us ka chehra kitab hota hai
jo kisi ko nahin hua hasil
wo mira intikhab hota hai
dil isi zad mein qaid rahta hai
jo nahin dastyab hota hai
dil ko samjha liya magar phir bhi
kyun mujhe iztirab hota hai
sach to maalum bhi nahin parta
har kisi par naqab hota hai
waqt de kar umud dekho na
kaun khud be naqab hota hai