کہیں یہ درد کا دھاگا بھی یوں سلجھتا ہے
Qamar Iqbal (1944–1988)کہیں یہ درد کا دھاگا بھی یوں سلجھتا ہے
گرہ جو کھولیں تو دل اور بھی الجھتا ہے
وہ ایک بات جو دل میں ہے میرے اس کے لیے
زباں سے کہتا نہیں وہ مگر سمجھتا ہے
میں تیری آنکھوں کی یہ پیاس کس طرح دیکھوں
مرے وجود میں بادل کوئی گرجتا ہے
عجیب چیز ہے یہ خوبی خطوط بدن
کوئی لباس ہو اس کے بدن پہ سجتا ہے
یہ رات اور یہ ڈستی ہوئی سی تنہائی
لہو کا ساز قمرؔ تن بدن میں بجتا ہے
kahin ye dard ka dhaga bhi yun sulajhta hai
girah jo kholen to dil aur bhi ulajhta hai
wo ek bat jo dil mein hai mere us ke liye
zaban se kahta nahin wo magar samajhta hai
main teri ankhon ki ye pyas kis tarah dekhun
mire wajud mein badal koi garajta hai
ajib chiz hai ye khubi khutut badan
koi libas ho us ke badan pe sajta hai
ye rat aur ye dasti hui si tanhai
lahu ka saz qamar tan badan mein bajta hai