کس قدر خوش نصیب ہوتے ہیں
Ibrahim Noori (b. 1988)کس قدر خوش نصیب ہوتے ہیں
جو شریف و نجیب ہوتے ہیں
کیا نہیں ہوتے قابل عزت
دہر میں جو غریب ہوتے ہیں
بے خرد دوستوں سے تو بہتر
ہاں رقیب لبیب ہوتے ہیں
در پہ اب سائلوں کی دستک سے
صد پریشاں مجیب ہوتے ہیں
جان لیتے ہیں جو مریضوں کی
کیا وہ قاتل طبیب ہوتے ہیں
کیوں محبت کی راہ میں ہی سدا
غم ہی پیہم نصیب ہوتے ہیں
لوگ بس ان کو تکتے رہتے ہیں
ظاہراً جو شبیب ہوتے ہیں
سرفرازی انہیں کو ملتی ہے
وہ جو اہل شکیب ہوتے ہیں
دور رہ کر بھی ظاہراً کچھ لوگ
دل کے بے حد قریب ہوتے ہیں
گلستان ادب میں اے نوریؔ
نغمہ خواں بس ادیب ہوتے ہیں
kis qadar khush nasib hote hain
jo sharif-o-najib hote hain
kya nahin hote qabil-e-izzat
dahr mein jo gharib hote hain
be khirad doston se to behtar
han raqib-e-labib hote hain
dar pe ab sailon ki dastak se
sad pareshan mujib hote hain
jan lete hain jo marizon ki
kya wo qatil tabib hote hain
kyun mohabbat ki rah mein hi sada
gham hi paiham nasib hote hain
log bas un ko takte rahte hain
zahiran jo shabeb hote hain
sarfarazi unhen ko milti hai
wo jo ahl-e-shakeb hote hain
dur rah kar bhi zahiran kuchh log
dil ke be had qarib hote hain
gulistan adab mein ai nuri
naghma khwan bas adib hote hain