جو ہم کہیں وہی طرز بیان رکھتا ہے
Tahir Tilhari (b. 1936)جو ہم کہیں وہی طرز بیان رکھتا ہے
وہ اپنے منہ میں ہماری زبان رکھتا ہے
رسائی تا بہ سر لا مکان رکھتا ہے
پرند فکر غضب کی اڑان رکھتا ہے
سنا ہے پاؤں تلے آسمان رکھتا ہے
فقیر شہر بڑی آن بان رکھتا ہے
وہ جس کو سایۂ دیوار تک نصیب نہیں
نہ جانے ذہن میں کتنے مکان رکھتا ہے
بہت بلیغ ہے انداز گفتگو اس کا
ہر ایک لفظ میں اک داستان رکھتا ہے
کوئی نہ دیکھ سکے اس کے گھر کی حالت زار
وہ شاید اس لیے اونچا مکان رکھتا ہے
وہ سب سے ملتا ہے ہنس کر بڑے خلوص کے ساتھ
انا کی تیغ مگر درمیان رکھتا ہے
ہمارے شہر کی آغوش وا ہے سب کے لیے
بڑی کشادہ دلی میزبان رکھتا ہے
ہمیں تو گاؤں کی آسودگی نے لوٹ لیا
جہاں فقیر بھی اپنا مکان رکھتا ہے
اسی کے سر پہ کوئی سائباں نہیں طاہرؔ
جو خود کو سب کے لیے سائبان رکھتا ہے
jo ham kahin wahi tarz-e-bayan rakhta hai
wo apne munh mein hamari zaban rakhta hai
rasai ta ba sar-e-la makan rakhta hai
parind fikr ghazab ki uran rakhta hai
suna hai paon tale asman rakhta hai
faqir-e-shahr bari an ban rakhta hai
wo jis ko saya-e-diwar tak nasib nahin
na jane zehn mein kitne makan rakhta hai
bahut baligh hai andaz-e-guftugu us ka
har ek lafz mein ik dastan rakhta hai
koi na dekh sake us ke ghar ki halat-e-zar
wo shayad is liye uncha makan rakhta hai
wo sab se milta hai hans kar bare khulus ke sath
ana ki tegh magar darmiyan rakhta hai
hamare shahr ki aghosh wa hai sab ke liye
bari kushada dili mezban rakhta hai
hamen to gaon ki asudgi ne laut liya
jahan faqir bhi apna makan rakhta hai
usi ke sar pe koi saiban nahin tahir
jo khud ko sab ke liye saiban rakhta hai