میرا مقصود نظر لوح مقدر میں نہیں
Tahir Tilhari (b. 1936)میرا مقصود نظر لوح مقدر میں نہیں
میں وہ موتی ڈھونڈھتا ہوں جو سمندر میں نہیں
بات کرنے کی بھی اب فرصت نہیں شاید اسے
میں نے جب آواز دی کہلا دیا گھر میں نہیں
کس طرح سے دھوئیے چہرے سے گرد ماہ و سال
اتنے آنسو بھی تو اپنے دیدۂ تر میں نہیں
جگمگا سکتی ہو جس سے خامشی کی ریگ دل
اتنی آب و تاب آوازوں کے خنجر میں نہیں
واہموں کے بھوت غم کے سائے سناٹے کے ناگ
کون سا آسیب اے طاہرؔ مرے گھر میں نہیں
mera maqsud-e-nazar lauh-e-muqaddar mein nahin
main wo moti dhundhta hun jo samundar mein nahin
bat karne ki bhi ab fursat nahin shayad use
main ne jab awaz di kahla diya ghar mein nahin
kis tarah se dhoiye chehre se gard-e-mah-o-sal
itne ansu bhi to apne dida-e-tar mein nahin
jagmaga sakti ho jis se khamushi ki reg dil
itni ab-o-tab awazon ke khanjar mein nahin
wahimon ke bhut gham ke sae sannate ke nag
kaun sa aseb ai tahir mire ghar mein nahin