سورج کی طرح اپنے ہی محور میں قید ہوں
Tahir Tilhari (b. 1936)سورج کی طرح اپنے ہی محور میں قید ہوں
صدیوں سے روشنی کے سمندر میں قید ہوں
سر سے گزرتی جاتی ہیں لمحوں کی آندھیاں
میں ہوں کہ ماہ و سال کے چکر میں قید ہوں
کیا کیا نہ سوچتا ہوں میں فردا کے باب میں
حالانکہ جانتا ہوں مقدر میں قید ہوں
چاہوں تو کائنات کے خرمن کو پھونک دوں
تم کیا سمجھ رہے ہو کہ پتھر میں قید ہوں
شاید مرا وجود تھا اک حصۂ زمیں
میں خاک ہو کے بھی اسی چکر میں قید ہوں
طاہرؔ میں اک جزیرے کی مانند آج بھی
تشنہ دہن ہوں گو کہ سمندر میں قید ہوں
suraj ki tarah apne hi mehwar mein qaid hun
sadiyon se raushni ke samundar mein qaid hun
sar se guzarti jati hain lamhon ki andhiyan
main hun ke mah-o-sal ke chakkar mein qaid hun
kya kya na sochta hun main farda ke bab mein
halanke janta hun muqaddar mein qaid hun
chahun to kainat ke khirman ko phunk dun
tum kya samajh rahe ho ke patthar mein qaid hun
shayad mira wajud tha ik hissa-e-zamin
main khak ho ke bhi isi chakkar mein qaid hun
tahir mein ik jazire ki manind aj bhi
tishna dahan hun go ke samundar mein qaid hun