کھوٹا سکہ کوئی لے ممکن نہیں
Ghani Ghayoor (b. 1962)کھوٹا سکہ کوئی لے ممکن نہیں
اور بٹوے میں رہے ممکن نہیں
عشق تیرے نے اجاڑا میرا دل
غیر کی الفت اگے ممکن نہیں
ہونے کو ہے عمر تیرے کوچے میں
یہ قدم آگے بڑھے ممکن نہیں
ڈوب کر بھی جاری رہتا ہے سفر
مہر مغرب سے چڑھے ممکن نہیں
اپنے تھیلے میں ہی رہنے دو اسے
اون کی بلی چلے ممکن نہیں
khota sikka koi le mumkin nahin
aur batwe mein rahe mumkin nahin
ishq tere ne ujara mera dil
ghair ki ulfat uge mumkin nahin
hone ko hai umr tere kuche mein
ye qadam age barhe mumkin nahin
dub kar bhi jari rahta hai safar
mehr maghrib se charhe mumkin nahin
apne thaile mein hi rahne do use
un ki billi chale mumkin nahin