اسیران عشق بتاں اور بھی ہیں
Lalan Chaudhary (b. 1923)اسیران عشق بتاں اور بھی ہیں
نہیں میں ہی محو فغاں اور بھی ہیں
ابھی یہ جفا کا ہے آغاز اے دل
وفا کے ابھی امتحاں اور بھی ہیں
نہیں اک فلک کی ہے مجھ پر عنایت
مرے حال پر مہرباں اور بھی ہیں
ہمیں سے ہے کیوں لاگ برق تپاں کو
چمن میں کئی آشیاں اور بھی ہیں
رہ عشق میں مٹ گئے ہم تو کیا غم
رہ عشق میں کارواں اور بھی ہیں
کہا جب سے ہے حال دل ان سے اپنا
وہ مجھ سے ہوئے بد گماں اور بھی ہیں
وطن کی ترقی پہ خوش ہو نہ آفتؔ
ابھی بے کس و بے مکاں اور بھی ہیں
asiran-e-ishq-e-butan aur bhi hain
nahin main hi mahw-e-fughan aur bhi hain
abhi ye jafa ka hai aghaz ai dil
wafa ke abhi imtihan aur bhi hain
nahin ik falak ki hai mujh par inayat
mire hal par mehrban aur bhi hain
hamen se hai kyun lag barq-e-tapan ko
chaman mein kai ashiyan aur bhi hain
rah-e-ishq mein mit gae ham to kya gham
rah-e-ishq mein karwan aur bhi hain
kaha jab se hai hal-e-dil un se apna
wo mujh se hue bad guman aur bhi hain
watan ki taraqqi pe khush ho na afat
abhi be kis-o-be makan aur bhi hain