کتنے اسرار واہمے میں ہیں
Osaama ameer (b. 1998)کتنے اسرار واہمے میں ہیں
ہم کہ مصروف کھوجنے میں ہیں
ہم سفر لا مکان کو پہنچا
اور ہم پہلے مرحلے میں ہیں
تو ابھی تک دکھا نہیں ہے ہمیں
ہم ابھی تک مراقبے میں ہیں
یہ جو کھڑکی کے پار منظر ہے
مسئلہ اس کو دیکھنے میں ہیں
اپنی اپنی ہی فکر ہے سب کو
اپنے اپنے ہی دائرے میں ہیں
واعظا انتظار کر تھوڑا
شیخ صاحب تو میکدے میں ہیں
یہ خرد کو شکست دیں گے میاں
یہ تو مجنوں کے قافلے میں ہیں
بھید جتنے ہیں کائنات اندر
ایک نقطے کے سلسلے میں ہیں
kitne asrar wahime mein hain
ham ke masruf khojne mein hain
ham safar la makan ko pahuncha
aur ham pahle marhale mein hain
tu abhi tak dikha nahin hai hamen
ham abhi tak muraqabe mein hain
ye jo khirki ke par manzar hai
masala us ko dekhne mein hain
apni apni hi fikr hai sab ko
apne apne hi daire mein hain
waza intizar kar thora
shaikh sahab to maikade mein hain
ye khirad ko shikast denge miyan
ye to majnun ke qafile mein hain
bhed jitne hain kainat andar
ek nuqte ke silsile mein hain