وہ پتھرائی سی آنکھوں کو بھی کاجل بھیج دیتا ہے
Nadeem Farrukh (b. 1970)وہ پتھرائی سی آنکھوں کو بھی کاجل بھیج دیتا ہے
سلگتی دوپہر میں جیسے بادل بھیج دیتا ہے
میں اپنے سب مسائل بس اسی پر چھوڑ دیتا ہوں
مرے الجھے مسائل کا وہی حل بھیج دیتا ہے
جہاں والے اسے جب یاد کرنا بھول جاتے ہیں
زمینوں کی تہوں میں کوئی ہلچل بھیج دیتا ہے
جہاں اہل خرد تیور بدل کر بات کرتے ہیں
وہ عبرت کے لیے دو چار پاگل بھیج دیتا ہے
ہمارے آج کی جب کوششیں ناکام ہوتی ہیں
ہمیں وہ ایک اور امید کا کل بھیج دیتا ہے
wo pathrai si ankhon ko bhi kajal bhej deta hai
sulagti dopahar mein jaise badal bhej deta hai
main apne sab masail bas usi par chhor deta hun
mire uljhe masail ka wahi hal bhej deta hai
jahan wale use jab yad karna bhul jate hain
zaminon ki tahon mein koi halchal bhej deta hai
jahan ahl-e-khirad tewar badal kar bat karte hain
wo ibrat ke liye do char pagal bhej deta hai
hamare aj ki jab koshishen nakam hoti hain
hamen wo ek aur ummid ka kal bhej deta hai