کھردرے جسم کے نشیب و فراز
Shahryar (1936–2012)کھردرے جسم کے نشیب و فراز
جاننے کی ہوس میں جس کی زباں
اور سب ذائقے بھلا بیٹھی
وہ نہتا اکیلا رات کے وقت
ایک دل دوز چیخ کے ہم راہ
جنگلوں کی طرف گیا تھا کبھی
اور پھر لوٹ کر نہیں آیا
اب وہ شاید کبھی نہ آئے گا
اس کے سائے کی دونوں آنکھیں مگر
موت سے اس کی بے خبر ہیں ابھی
اس کی آمد کی منتظر ہیں ابھی
khurdare jism ke nasheb-o-faraz
janne ki hawas mein jis ki zaban
aur sab zaiqe bhala baithi
wo nahta akela rat ke waqt
ek dil doz chikh ke ham rah
jangalon ki taraf gaya tha kabhi
aur phir laut kar nahin aya
ab wo shayad kabhi na aega
us ke sae ki donon ankhen magar
maut se us ki be khabar hain abhi
us ki amad ki muntazir hain abhi