بہار اور خزاں موت اور زندگی کے منظم مناظر سے آگے بھی
Shahryar (1936–2012)بہار اور خزاں موت اور زندگی کے منظم مناظر سے آگے بھی
کچھ ایسے منظر ہیں
آنکھوں کی جن تک رسائی نہیں ہے
شجر جس کی ساری جڑیں آسمانوں میں پھیلی ہیں
اور ٹہنیاں کھردری سخت لاوا اگلتی زمیں
کے بدن میں مسلسل اترتی چلی جا رہی ہیں
ہوا کے سمندر میں بے بادباں کشتیوں پر درندے
لہو رنگ خوشبو کی دیوار کا گہرا سایہ
ہری سرخ نیلی سیہ روشنی
روشنی کی لکیریں
لکیروں کی آواز
آواز کا دائرہ
دائرے اور نقطے میں بڑھتا ہوا فاصلہ
فاصلہ اور سفر
بہار اور خزاں موت اور زندگی کے منظم مناظر سے آگے بھی
کچھ ایسے منظر ہیں آنکھوں کی جن تک رسائی نہیں ہے
bahar aur khizan maut aur zindagi ke munazzam manazir se age bhi
kuchh aise manzar hain
ankhon ki jin tak rasai nahin hai
shajar jis ki sari juren asmanon mein phaili hain
aur tahniyan khurdari sakht lawa ugalti zamin
ke badan mein musalsal utarti chali ja rahi hain
hawa ke samundar mein be badban kashtiyon par darinde
lahu rang khushbu ki diwar ka gahra saya
hari surkh nili siyah raushni
raushni ki lakiren
lakiron ki awaz
awaz ka daira
daire aur nuqte mein barhta hua fasla
fasla aur safar
bahar aur khizan maut aur zindagi ke munazzam manazir se age bhi
kuchh aise manzar hain ankhon ki jin tak rasai nahin hai