ہوا کا تعاقب کبھی چاند کی چاندنی کو پکڑنے کی خواہش
Shahryar (1936–2012)ہوا کا تعاقب کبھی چاند کی چاندنی کو پکڑنے کی خواہش
کبھی صبح کے ہونٹ چھونے کی حسرت
کبھی رات کی زلف کو گوندھنے کی تمنا
کبھی جسم کے قہر کی مدح خوانی
کبھی روح کی بے کسی کی کہانی
کبھی جاگنے کی ہوس کو جگانا
کبھی نیند کے بند دروازے کو کھٹکھٹانا
کبھی صرف آنکھیں ہی آنکھیں ہیں اور کچھ نہیں ہے
کبھی کان ہیں ہاتھ ہیں اور زباں ہے
کبھی صرف لب ہیں
دلوں کے دھڑکنے کے انداز
اب کے برس کچھ عجب ہیں
hawa ka taaqub kabhi chand ki chandni ko pakarne ki khwahish
kabhi subh ke hont chhune ki hasrat
kabhi rat ki zulf ko gundhne ki tamanna
kabhi jism ke qahr ki madh khwani
kabhi ruh ki be kisi ki kahani
kabhi jagne ki hawas ko jagana
kabhi nind ke band darwaze ko khatkhatana
kabhi sirf ankhen hi ankhen hain aur kuchh nahin hai
kabhi kan hain hath hain aur zaban hai
kabhi sirf lab hain
dilon ke dharakne ke andaz
ab ke baras kuchh ajab hain