پہلے وہ رنگ تھی
Nida Fazli (1938–2016)پہلے وہ رنگ تھی
پھر روپ بنی
روپ سے جسم میں تبدیل ہوئی
اور پھر جسم سے بستر بن کر
گھر کے کونے میں لگی رہتی ہے
جس کو
کمرے میں گھٹا سناٹا
وقت بے وقت اٹھا لیتا ہے
کھول لیتا ہے ،بچھا لیتا ہے
pahle wo rang thi
phir rup bani
rup se jism mein tabdil hui
aur phir jism se bistar ban kar
ghar ke kone mein lagi rahti hai
jis ko
kamre mein ghata sannata
waqt-e-be waqt utha leta hai
khol leta hai,bichha leta hai