ہم سب
Nida Fazli (1938–2016)ہم سب
ایک اتفاق کے
مختلف نام ہیں
مذہب
ملک
زبان
اسی اتفاق کی ان گنت کڑیاں ہیں
اگر پیدائش سے پہلے
انتخاب کی اجازت ہوتی
تو کوئی لڑکا
اپنے باپ کے گھر میں پیدا ہونا پسند نہیں کرتا
ham sab
ek ittifaq ke
mukhtalif nam hain
mazhab
mulk
zaban
isi ittifaq ki an ginat kariyan hain
agar paidaish se pahle
intikhab ki ijazat hoti
to koi larka
apne bap ke ghar mein paida hona pasand nahin karta