موسم سرما کی بارش کا یہ پہلا روز ہے
Munir Niazi (1928–2006)موسم سرما کی بارش کا یہ پہلا روز ہے
دھند ہے اطراف میں سورج کے خواب گرم پر
میں کہ جو محصور ہوں آرام حسن یار میں
اک حفاظت سی ہے مجھ کو جسم کی مہکار میں
یاد اور موجود دونوں کی حقیقت اس میں ہے
غم کی طاقت کو غلط کرنے کی ہمت اس میں ہے
سحر اتنے ہیں جمال مہربان یار میں
جتنے اس سرما کی بارش کے حسیں اسرار میں
mausam-e-sarma ki barish ka ye pahla roz hai
dhund hai atraf mein suraj ke khwab-e-garm par
main ke jo mahsur hun aram husn-e-yar mein
ik hifazat si hai mujh ko jism ki mahkar mein
yad aur maujud donon ki haqiqat is mein hai
gham ki taqat ko ghalat karne ki himmat is mein hai
sehr itne hain jamal-e-mehrban-e-yar mein
jitne is sarma ki barish ke hasin asrar mein