ہے یہ شہر عشق یاں آب و ہوا کچھ اور ہے
Iffat abbas (b. 1963)ہے یہ شہر عشق یاں آب و ہوا کچھ اور ہے
سرخ رنگت ہے زمیں کی اور فضا کچھ اور ہے
یاں جنوں ہے کاروان شوق کو بانگ رحیل
اے مسافر یہ پیام نقش پا کچھ اور ہے
ہے جدا اس شہر دل میں لذت رنج و الم
اس جگہ خون جگر کا ذائقہ کچھ اور ہے
عارف کامل ہیں ان صحراؤں کے صحرا نورد
یاں تو ہر مجنوں کا انداز و ادا کچھ اور ہے
ذکر کی تمثیل ہر تنثیل کی تعبیر ہے
لطف جنت اور ہے آب بقا کچھ اور ہے
ریگزار ہجر میں احساس کے زمزم نہاں
اس جگہ تو تشنگی کا سلسلہ کچھ اور ہے
تو جو نو وارد ہے سن یاں عیش ہستی ہے جدا
حسن کی سرکار میں لفظ فنا کچھ اور ہے
دوش پر آغوش میں پہلو میں حیدر کب نہ تھے
دست مرسل پر بلندی کا مزا کچھ اور ہے
اہل رد و کد نے سو تفسیر کی اک لفظ کی
پر نہ سمجھے کہ نبیؐ کا مدعا کچھ اور ہے
سن کسی مجذوب سے ایک بار روداد غدیر
خم کے منبر پر علی کا مرتبہ کچھ اور ہے
سرخ رو ہو جائے تجھ سے دعویٔ الفت شہاب
عاشقوں کے زندہ رہنے کی ادا کچھ اور ہے
hai ye shahr-e-ishq yan ab-o-hawa kuchh aur hai
surkh rangat hai zamin ki aur faza kuchh aur hai
yan junun hai karwan-e-shauq ko bang-e-rahil
ai musafir ye payam-e-naqsh-e-pa kuchh aur hai
hai juda is shahr-e-dil mein lazzat-e-ranj-o-alam
is jagah khun-e-jigar ka zaiqa kuchh aur hai
arif-e-kamil hain un sahraon ke sahra naward
yan to har majnun ka andaz-o-ada kuchh aur hai
zikr ki tamsil har tansel ki taabir hai
lutf-e-jannat aur hai ab-e-baqa kuchh aur hai
regzar-e-hijr mein ehsas ke zamzam nihan
is jagah to tishnagi ka silsila kuchh aur hai
tu jo nau warid hai sun yan aish-e-hasti hai juda
husn ki sarkar mein lafz-e-fana kuchh aur hai
dosh par aghosh mein pahlu mein haidar kab na the
dast-e-mursal par bulandi ka maza kuchh aur hai
ahl-e-rad-o-kad ne so tafsir ki ik lafz ki
par na samjhe ke nabi ka muddaa kuchh aur hai
sun kisi majzub se ek bar rudad-e-ghadir
kham ke mimbar par ali ka martaba kuchh aur hai
surkh ru ho jae tujh se daawa-e-ulfat shahab
ashiqon ke zinda rahne ki ada kuchh aur hai