شہر کے مکانوں کے
Munir Niazi (1928–2006)شہر کے مکانوں کے
سرد سائبانوں کے
دل ربا تھکے سائے
خواہشوں سے گھبرائے
رہرووں سے کہتے ہیں
رات کتنی ویراں ہے
موت بال افشاں ہے
اس گھنے اندھیرے میں
خواہشوں کے ڈیرے میں
دل کے چور بستے ہیں
ان کے پاس جانے کے
لاکھ چور رستے ہیں
shahr ke makanon ke
sard saibanon ke
dil ruba thake sae
khwahishon se ghabrae
rahrawon se kahte hain
rat kitni wiran hai
maut bal afshan hai
is ghane andhere mein
khwahishon ke dere mein
dil ke chur baste hain
un ke pas jane ke
lakh chur raste hain