اک اور گھر بھی تھا مرا
Munir Niazi (1928–2006)اک اور گھر بھی تھا مرا
جس میں میں رہتا تھا کبھی
اک اور کنبہ تھا مرا
بچوں بڑوں کے درمیاں
اک اور ہستی تھی مری
کچھ رنج تھے کچھ خواب تھے
موجود ہیں جو آج بھی
وہ گھر جو تھی بستی مری
یہ گھر جو ہے بستی مری
اس میں بھی تھی ہستی مری
اس میں بھی ہے ہستی مری
اور میں ہوں جیسے کوئی شے
دو بستیوں میں اجنبی
ik aur ghar bhi tha mira
jis mein main rahta tha kabhi
ik aur kumba tha mira
bachchon baron ke darmiyan
ik aur hasti thi miri
kuchh ranj the kuchh khwab the
maujud hain jo aj bhi
wo ghar jo thi basti miri
ye ghar jo hai basti miri
is mein bhi thi hasti miri
is mein bhi hai hasti miri
aur main hun jaise koi shai
do bastiyon mein ajnabi