کل رات
Munawwar Ranaکل رات
بارش سے جسم
اور آنسوؤں سے
چہرہ بھیگ رہا تھا
اس کے غم کی پردہ داری
شاید خدا بھی کرنا چاہتا تھا
لیکن دھوپ نکلنے کے بعد
جسم تو سوکھ گیا
لیکن آنکھوں نے
قدرت کا کہنا ماننے سے
بھی
انکار کر دیا
اس کے اداس
ہونٹ پتھر کے ہو گئے تھے
اور پتھر مسکرا نہیں سکتے
kal rat
barish se jism
aur ansuon se
chehra bhig raha tha
us ke gham ki parda dari
shayad khuda bhi karna chahta tha
lekin dhup nikalne ke baad
jism to sukh gaya
lekin ankhon ne
qudrat ka kahna manne se
bhi
inkar kar diya
us ke udas
hont patthar ke ho gae the
aur patthar muskura nahin sakte