بند مٹھی میں ہونٹ کے ٹکڑے
Adil Mansuri (1936–2008)بند مٹھی میں ہونٹ کے ٹکڑے
اور ٹکڑوں میں ہانپتے سورج
اور سورج میں سبز تاریکی
اور تاریکی میں برہنہ خیال
اور برہنہ خیال میں کشتی
اور کشتی میں فصل گندم کی
اور گندم کی بند مٹھی میں
ہونٹ کی سرخی کپکپاتی ہوئی
band mutthi mein hont ke tukre
aur tukron mein hanpte suraj
aur suraj mein sabz tariki
aur tariki mein barahna khayal
aur barahna khayal mein kashti
aur kashti mein fasl-e-gandum ki
aur gandum ki band mutthi mein
hont ki surkhi kapkapati hui