گدھوں کے ہرکارے نے
Yashab Tamanna (b. 1957)گدھوں کے ہرکارے نے
راجہ کو بتایا
کہ دور کی ایک بستی
جلد ہی ان کی
خوراک بننے والی ہے
یہ سن کر راجہ اور اس کے ساتھیوں نے
اپنے محفوظ ٹھکانے چھوڑے
اور اس بستی کی جانب روانہ ہوئے
بستی کے چوکیدار نے
راجہ اور اس کے ساتھی گدھوں کو
اس شرط پر بستی میں اترنے کی اجازت دی
کہ وہ چوکیدار کو نقصان نہیں پہنچائیں گے
راجہ گدھ نے یہ شرط منظور کر لی
اور ساتھ ہی گدھوں کو حکم دیا
کہ اس سے پہلے
کہ وہ نیم جان بستی ہوش میں آنے لگے
سب اپنا اپنا پیٹ بھر لیں
اور محفوظ ٹھکانوں کی طرف لوٹ جائیں
لیکن اس مرتبہ
راجہ گدھ اور اس کے ساتھیوں نے
عجیب منظر دیکھا
زمین کے کیڑے مکوڑے
گدھوں کے آنے کا شور سن کر
واپس اپنے بلوں میں نہیں گئے
بلکہ انہوں نے
ایک حصار بنا لیا
اور گدھوں کی چیخ و پکار کے باوجود
وہاں سے بھاگنے کی بجائے
ان کے پنجوں سے لپٹ لپٹ کر
ان کے منہ میں آنے لگے
راجہ گدھ اور اس کے ساتھیوں کے لیے
یہ ایک بالکل نیا تجربہ تھا
گدھ جیسے ہی
زمین کی طرف آنے کی کوشش کرتے
بہت سے کیڑے مکوڑے اڑ کر
ان کی آنکھوں میں گھس جاتے
اور انہیں اندھا کر دیتے
گدھ اپنا توازن برقرار نہ رکھ پاتے
اور زمین پر آ گرتے
جیسے ہی گدھ زمین پر گرتے
بہت سے کیڑے مکوڑے ان پر سوار ہو کر
ان کے پروں کو ناکارہ بنا دیتے
یوں زمین پر گدھوں کے ڈھیر لگ گئے
یہ حال دیکھ کر
راجہ نے اپنے ساتھیوں کو حکم دیا
کہ جیسے تیسے جان بچا کر بستی سے نکل جائیں
اور خود سب سے پہلے بھاگ کھڑا ہوا
یہ دیکھ کر ایک کیڑے نے سر اٹھا کر پوچھا
اب کیا ہوگا
بڑی بی نے ورق گردانی کرتے ہوئے کہا
یہ تو صرف گدھ ہیں
تم اگر اپنے باپ کی بات مان لو
تو ہاتھی کو زمین پر گرا سکتے ہو
gidhon ke harkare ne
raja ko bataya
ke dur ki ek basti
jald hi un ki
khurak banne wali hai
ye sun kar raja aur us ke sathiyon ne
apne mahfuz thikane chhore
aur is basti ki janib rawana hue
basti ke chaukidar ne
raja aur us ke sathi gidhon ko
is shart par basti mein utarne ki ijazat di
ke wo chaukidar ko nuqsan nahin pahunchaenge
raja gidh ne ye shart manzur kar li
aur sath hi gidhon ko hukm diya
ke is se pahle
ke wo nim jan basti hosh mein ane lage
sab apna apna pet bhar len
aur mahfuz thikanon ki taraf laut jaen
lekin is martaba
raja gidh aur us ke sathiyon ne
ajib manzar dekha
zamin ke kire makore
gidhon ke ane ka shor sun kar
wapas apne balon mein nahin gae
balke unhon ne
ek hisar bana liya
aur gidhon ki chikh-o-pukar ke bawajud
wahan se bhagne ki bajae
un ke panjon se lipat lipat kar
un ke munh mein ane lage
raja gidh aur us ke sathiyon ke liye
ye ek bilkul naya tajriba tha
gidh jaise hi
zamin ki taraf ane ki koshish karte
bahut se kire makore ur kar
un ki ankhon mein ghis jate
aur unhen andha kar dete
gidh apna tawazun barqarar na rakh pate
aur zamin par a girte
jaise hi gidh zamin par girte
bahut se kire makore un par sawar ho kar
un ke paron ko nakara bana dete
yun zamin par gidhon ke dher lag gae
ye hal dekh kar
raja ne apne sathiyon ko hukm diya
ke jaise taise jan bacha kar basti se nikal jaen
aur khud sab se pahle bhag khara hua
ye dekh kar ek kire ne sar utha kar puchha
ab kya hoga
bari bi ne waraq gardani karte hue kaha
ye to sirf gidh hain
tum agar apne bap ki bat man lo
tu hathi ko zamin par gira sakte ho