وطن کی دھرتی سے دور
Yaqoob Tasawwur (b. 1945)وطن کی دھرتی سے دور
جب وطن کے مارے
برہنہ تن اور تہی شکم کی طلب کی شدت
سے ہو کے مجبور
جلتے صحرا کی وسعتوں میں
مقید نار ہو گئے ہیں
نہ طوق آہن
نہ بیڑیاں ہیں
نہ ہے سلاسل کا بوجھ تن پر
جھلستے صحرا کی وسعتوں میں
سروں پہ سورج کی چھتریاں ہیں
بدن سے آب مشقت بے سکوں کی
نہریں رواں دواں ہیں
watan ki dharti se dur
jab watan ke mare
barahna tan aur tahi shikam ki talab ki shiddat
se ho ke majbur
jalte sahra ki wusaton mein
muqayyad nar ho gae hain
na tauq ahan
na beriyan hain
na hai salasil ka bojh tan par
jhulaste sahra ki wusaton mein
saron pe suraj ki chhatriyan hain
badan se ab mashaqqat be sukun ki
nahren rawan dawan hain