ہجوم رنج و الم
Yaqoob Tasawwur (b. 1945)ہجوم رنج و الم
کئی پیکروں میں ڈھل کر چہار جانب پہ چھا رہا ہے
زمین آتش فشاں ہے اور آسمان سے بارش ستم ہے
سمندروں میں غضب کے طوفاں
سلگتے جلتے ہوئے کٹھن راستوں میں پتھر
ہم ان کے نرغے میں
استقامت سے چل رہے ہیں
قدم قدم گر رہے ہیں گر کر سنبھل رہے ہیں
یہ اس کی چاہت کی آزمائش ہے
اور بے لوث و بے غرض جذبۂ وفا کا
حسین تحفہ
یہ اس کی چاہت کی اک سند ہے
یہ اس کی نظروں میں امتحاں ہے
hujum-e-ranj-o-alam
kai paikaron mein dhal kar chahar janib pe chha raha hai
zamin-e-atish fishan hai aur asman se barish sitam hai
samundaron mein ghazab ke tufan
sulagte jalte hue kathin raston mein patthar
ham un ke narghe mein
istiqamat se chal rahe hain
qadam qadam gir rahe hain gir kar sambhal rahe hain
ye us ki chahat ki azmaish hai
aur be los-o-be gharaz jazba-e-wafa ka
hasin tohfa
ye us ki chahat ki ik sanad hai
ye us ki nazron mein imtihan hai