کس دھن میں رہتی ہو تم
Varsha Gorchhiaکس دھن میں رہتی ہو تم
الجھے ہوئے بالوں کی گرہیں
تم سے نہیں سلجھتی کیا
لاؤ انہیں میں سلجھا دوں
اون کے الجھے گچھوں سے
یہ بال تمہارے
سلجھے تو ریشم ہو جائیں
اور بالوں کو سلجھانے کے بہانے
جیون کی الجھن سلجھاؤں
گھنے بنوں میں شنکھ بجاؤں
اور تتلی بن کر اڑ جاؤں
شاخوں کو میں رقص دکھاؤں
ایک کاغذ کی ناؤ بناؤں
تجھ کو دور بہا لے جاؤں
اور تیرے دکھ کی ورشا میں
انتر من تک بھیگتی جاؤں
آ اجنبی سی لڑکی
میں تیری بچپن کی سی سہیلی ہو جاؤں
kis dhun mein rahti ho tum
uljhe hue balon ki girhen
tum se nahin sulajhti kya
lao unhen mein suljha dun
un ke uljhe guchchhon se
ye bal tumhare
suljhe to resham ho jaen
aur balon ko sulajhane ke bahane
jiwan ki uljhan suljhaon
ghane banon mein shanakh bajaun
aur titli ban kar ur jaun
shakhon ko main raqs dikhaun
ek kaghaz ki nao banaun
tujh ko dur baha le jaun
aur tere dukh ki warsha mein
antar man tak bhigti jaun
a ajnabi si larki
main teri bachpan ki si saheli ho jaun