تھکی ہاری چڑیوں کے
Saba Ikram (b. 1945)تھکی ہاری چڑیوں کے
اک غول کی طرح
جب شام اتری
گھنے برگدوں پر
میری کلپناؤں کے پنچھی
لئے اپنی چونچوں میں تنکے
اڑے ان پر اسرار
اندھی
دشاؤں کی جانب
جہاں آگ کے جنگلوں میں
مری آتما
کتنی صدیوں سے بیاکل
کوئی آشیاں ڈھونڈھتی ہے
thaki hari chiriyon ke
ik ghaul ki tarah
jab sham utri
ghane bargadon par
meri kalapnaon ke panchhi
liye apni chonchon mein tinke
ure un pur asrar
andhi
dashaon ki janib
jahan ag ke jangalon mein
miri atma
kitni sadiyon se beakl
koi ashiyan dhundhti hai