مجھے مت بتانا
Parveen Shakir (1952–1994)مجھے مت بتانا
کہ تم نے مجھے چھوڑنے کا ارادہ کیا تھا
تو کیوں
اور کس وجہ سے
ابھی تو تمہارے بچھڑنے کا دکھ بھی نہیں کم ہوا
ابھی تو میں
باتوں کے وعدوں کے شہر طلسمات میں
آنکھ پر خوش گمانی کی پٹی لیے
تم کو پیڑوں کے پیچھے درختوں کے جھنڈ
اور دیوار کی پشت پر ڈھونڈنے میں مگن ہوں
کہیں پر تمہاری صدا اور کہیں پر تمہاری مہک
مجھ پہ ہنسنے میں مصروف ہے
ابھی تک تمہاری ہنسی سے نبرد آزما ہوں
اور اس جنگ میں
میرا ہتھیار
اپنی وفا پر بھروسہ ہے اور کچھ نہیں
اسے کند کرنے کی کوشش نہ کرنا
مجھے مت بتانا.....
mujhe mat batana
ke tum ne mujhe chhorne ka irada kya tha
to kyun
aur kis wajh se
abhi to tumhare bichharne ka dukh bhi nahin kam hua
abhi to main
baton ke waadon ke shahr tilismat mein
ankh par khush gumani ki piti liye
tum ko peron ke pichhe darakhton ke jhund
aur diwar ki pusht par dhundne mein magan hun
kahin par tumhari sada aur kahin par tumhari mahak
mujh pe hansne mein masruf hai
abhi tak tumhari hansi se nabard azma hun
aur is jang mein
mera hathiyar
apni wafa par bharosa hai aur kuchh nahin
use kand karne ki koshish na karna
mujhe mat batana.....