تجھے دیکھنے کے بعد
Omainuz Zahra Sayyad (b. 2000)تجھے دیکھنے کے بعد
تخیل کے دریا میں ابھرتی موج نے
دل کے ساحل پر
رنگیں سی دستک دی ہے
مری سماعتوں نے تیری آواز کا ذائقہ
خواب میں بھی نہیں چکھا
ترے لہجے کے بجتے ستار سے
شروع ہونے والا رقص دیکھنے کو
تشنہ آنکھیں برملا اظہار کرتی ہیں کہ
تیرا دیدار مجھے سبز کر سکتا ہے
اے خوش نویس
تو نے جب سے مرے نام میں
رنگ بھرے
اس نام سے خوشبو پھوٹتی ہے
ترے ہاتھوں سے لکھے
تجمل جملے امر ہو جاتے ہیں
ان ہاتھوں سے
عقیدت و محبت کی مہک مرے وجود کو
معطر کئے ہوئے ہے
میں نے اظہار کے سچے موتی
ریت میں لپیٹ کر
دریائے جہلم کے حوالے کر دئے ہیں
آسمان سفید ردا اوڑھنے لگا
اور
سیف الملوک کا لہجہ سمجھنے کے بعد
سرخ سوچیں
سبز روشنی میں رقص کر رہی ہیں
tujhe dekhne ke baad
takhayyul ke dariya mein ubharti mauj ne
dil ke sahil par
rangin si dastak di hai
miri samaaton ne teri awaz ka zaiqa
khwab mein bhi nahin chakha
tire lahje ke bajte sitar se
shuru hone wala raqs dekhne ko
tishna ankhen barmala izhar karti hain ke
tera didar mujhe sabz kar sakta hai
ai khush nawis
tu ne jab se mire nam mein
rang bhare
is nam se khushbu phutti hai
tire hathon se likhe
tajammul jumle amar ho jate hain
in hathon se
aqidat-o-mohabbat ki mahak mire wajud ko
muattar kiye hue hai
main ne izhar ke sachche moti
ret mein lapet kar
dariya-e-jhulam ke hawale kar diye hain
asman safed rida orhne laga
aur
saif almuluk ka lahja samajhne ke baad
surkh sochen
sabz raushni mein raqs kar rahi hain