میرے نزدیک محبت الہامی شے ہے
Omainuz Zahra Sayyad (b. 2000)میرے نزدیک محبت الہامی شے ہے
یہ آسمانوں سے اترتی ہے
دل کی پاک شفاف زمین پر
یہ محبت اذان فجر کے بعد اترتی ہوئی پاک سحر ہے
یہ اتنی پاک ہے جتنا جس کا تخیل پاک ہے
محبت اس قدر پاکیزہ ہوتی ہے جتنا جس کا خون پاک ہوتا ہے
محبت اوس کو کہتے ہیں جب روزہ دار افطار کے وقت
اک پانی کا گلاس سامنے رکھے اس آواز کا انتظار کرتا ہے کہ کب حکم ہو
اس آواز کا انتظار محبت ہے
محبت رزق ہے ان آنکھوں کا جو محبوب کا دیدار با وضو ہو کر کرتی ہیں
ان لوگوں کے چہار جانب بہار محبت کے گلاب کھلتے ہیں جن پہ خزاں نہیں آتی
محبت کا گلشن
عزت کی خوشبو سے مہکتا ہے
یہ محبت وہ جذبہ ہے جس کے تحت گرمی کی شدت پیاس کی حدت میں
چھاؤں کی جگہ پر پرندوں کو پانی رکھا جائے
محبت نام زبان پہ آنے سے پہلے سوچ کو با وضو ہو جانا چاہئے
اور جنہوں نے نام محبت کو اترن کی طرح پہنا ہے
جنہوں نے محبت کو ہی دھوکہ دیا ہے
ان پہ پھر محبت عذاب بن کے اترتی ہے
محبت روٹھ جاتی ہے
کیونکہ یہ عزت ہے
ایسی عزت جو محبت سے پہلے دل کی سرزمین پہ اترے
اور عزتیں بلند رہیں ہمیشہ محبتوں سے
جہاں عزت کی سربلندی رہے گی وہاں محبت ہمیشہ زندہ رہے گی
اور جن لوگوں نے
محبت کو کاروبار بنایا ہے
وہ لوگ محبت کی میم سے نابلد ہیں
ان کے واسطے محبت نام کے چند دن ہوتے ہیں
پھر بہانے اور اپنی غلیظ فطرت کے پیش نظر
کبھی اک در کبھی دوسرا در
کبھی یہاں جھکا کبھی وہاں جھکا
ارے سنو
محبت کے نام پہ تعلقات کو لباس سے جلد بدلنے والے انسان
توہین مت کرو محبت کی
اس الہامی شے کو اس پاک جذبے کو پاک رہنے دو
اور یاد رکھو توہین محبت کے مرتکب
تم سے تو اب نفرت بھی میرے شایان شان نہیں
mere nazdik mohabbat ilhami shai hai
ye asmanon se utarti hai
dil ki pak shaffaf zamin par
ye mohabbat azan fajr ke baad utarti hui pak sahar hai
ye itni pak hai jitna jis ka takhayyul pak hai
mohabbat is qadar pakiza hoti hai jitna jis ka khun pak hota hai
mohabbat os ko kahte hain jab roza dar iftar ke waqt
ik pani ka gilas samne rakhe is awaz ka intizar karta hai ke kab hukm ho
is awaz ka intizar mohabbat hai
mohabbat rizq hai in ankhon ka jo mahbub ka didar ba wuzu ho kar karti hain
un logon ke chahar janib bahar mohabbat ke gulab khulte hain jin pe khizan nahin ati
mohabbat ka gulshan
izzat ki khushbu se mahakta hai
ye mohabbat wo jazba hai jis ke taht garmi ki shiddat pyas ki hiddat mein
chhaon ki jagah par parindon ko pani rakha jae
mohabbat nam zaban pe ane se pahle soch ko ba wuzu ho jana chahiye
aur jinhon ne nam mohabbat ko utran ki tarah pahna hai
jinhon ne mohabbat ko hi dhoka diya hai
un pe phir mohabbat azab ban ke utarti hai
mohabbat ruth jati hai
kyunke ye izzat hai
aisi izzat jo mohabbat se pahle dil ki sarzamin pe utre
aur izzaten buland rahen hamesha mohabbaton se
jahan izzat ki sarbulandi rahegi wahan mohabbat hamesha zinda rahegi
aur jin logon ne
mohabbat ko karobar banaya hai
wo log mohabbat ki mem se nabalad hain
un ke waste mohabbat nam ke chand din hote hain
phir bahane aur apni ghaliz fitrat ke pesh-e-nazar
kabhi ik dar kabhi dusra dar
kabhi yahan jhuka kabhi wahan jhuka
are suno
mohabbat ke nam pe taalluqat ko libas se jald badalne wale insan
tauhin mat karo mohabbat ki
is ilhami shai ko is pak jazbe ko pak rahne do
aur yad rakho tauhin mohabbat ke murtakib
tum se to ab nafrat bhi mere shayan-e-shan nahin