میں کراچی کی رہنے والی ہوں
Maaham Shah (b. 1997)میں کراچی کی رہنے والی ہوں
اک سمندر یہاں پے بہتا ہے
اس سمندر کی میں بھی ماہی ہوں
عشق کی راہ کی میں راہی ہوں
میری منزل ہے اس کی خاموشی
میری آواز وہ سمجھتا ہے
اس کی موجوں سے آشنا ہوں میں
اس کی لہریں بھی جانتی ہیں مجھے
میں یہاں روز شام آتی ہوں
اپنے غم کا بیان کرنے کو
یہ مرا حال دل بھی سنتا ہے
اور مجھے اپنی بھی سناتا ہے
ہم یہاں پہروں بات کرتے ہیں
شکوہ کائنات کرتے ہیں
main karachi ki rahne wali hun
ik samundar yahan pe bahta hai
is samundar ki main bhi mahi hun
ishq ki rah ki main rahi hun
meri manzil hai us ki khamoshi
meri awaz wo samajhta hai
us ki maujon se ashna hun main
us ki lahren bhi janti hain mujhe
main yahan roz sham ati hun
apne gham ka bayan karne ko
ye mira hal-e-dil bhi sunta hai
aur mujhe apni bhi sunata hai
ham yahan pahron bat karte hain
shikwa kainat karte hain