یہ ہماری قسمت کے
Naeem Zarrar Ahmad (b. 1965)یہ ہماری قسمت کے
جتنے بھی ستارے ہیں
قدرت الٰہی نے
بے مراد رستوں پر باندھ کر اتارے ہیں
جن کی اپنی منزل ہی بے نشان رستے ہوں
روشنی جو غیروں سے مستعار لیتے ہوں
کیسے میں یقیں کر لوں
میری منزلوں کے وہ
معتبر اشارے ہیں
یہ ہماری قسمت کے
جتنے بھی ستارے ہیں
صرف استعارے ہیں
ye hamari qismat ke
jitne bhi sitare hain
qudrat-e-ilahi ne
be murad raston par bandh kar utare hain
jin ki apni manzil hi be nishan raste hun
raushni jo ghairon se mustaar lete hun
kaise main yaqin kar lun
meri manzilon ke wo
motabar ishare hain
ye hamari qismat ke
jitne bhi sitare hain
sirf istiare hain