یہ لفظ سقراط لفظ عیسیٰ
Obaidullah Aleem (1939–1998)یہ لفظ سقراط لفظ عیسیٰ
میں ان کا خالق یہ میرے خالق
یہی ازل ہیں یہی ابد ہیں یہی زماں ہیں یہی مکاں ہیں
یہ ذہن تا ذہن رہگزر ہیں یہ روح تا روح اک سفر ہیں
صداقت عصر بھی یہی ہیں کراہت جبر بھی یہی ہیں
علامت درد بھی یہی ہیں کرامت صبر بھی یہی ہیں
بغیر تفریق رنگ و مذہب زمیں زمیں ان کی بادشاہی
کھنچے ہوئے ہیں لہو لہو میں بچھے ہوئے ہیں زباں زباں پر
یہ جھوٹ بھی ہیں یہ لوٹ بھی ہیں یہ جنگ بھی ہیں یہ خون بھی ہیں
مگر یہ مجبوریاں ہیں ان کی
بغیر ان کے حیات ساری توہماتی
ہر ایک حرکت سکوت ٹھہرے
نہ کہہ سکیں کچھ نہ سن سکیں کچھ
ہر ایک آئینہ اپنی عکاسیوں پہ حیراں ہو اور چپ ہو
نگاہ نظارہ بیں تماشا ہو وحشتوں کا
اجازت جلوہ دے کے جیسے زباں سے گویائی چھین لی جائے
نہ حسن کچھ ہو نہ عشق کچھ ہو
تمام احساس کی ہوائیں تمام عرفان کے جزیرے تمام یہ علم کے سمندر
سراب ہوں وہم ہوں گماں ہوں
یہ لفظ تیشہ ہیں جن سے افکار اپنی صورت تراشتے ہیں
مسیح دست و قلم سے نکلیں تو پھر یہ الفاظ بولتے ہیں
یہی مصور یہی ہیں بت گر یہی ہیں شاعر
یہی مغنی یہی نوا ہیں
یہی پیمبر یہی خدا ہیں
میں کیمیا ہوں یہ کیمیا گر
یہ میرا کلیان چاہتے ہیں
میں ان کی تسخیر کر رہا ہوں
یہ میری تعمیر کر رہے ہیں
ye lafz suqrat lafz-e-isa
main un ka khaliq ye mere khaliq
yahi azal hain yahi abad hain yahi zaman hain yahi makan hain
ye zehn ta zehn rahguzar hain ye ruh ta ruh ik safar hain
sadaqat asr bhi yahi hain karahat jabr bhi yahi hain
alamat dard bhi yahi hain karamat sabr bhi yahi hain
baghair tafriq rang-o-mazhab zamin zamin un ki badshahi
khinche hue hain lahu lahu mein bichhe hue hain zaban zaban par
ye jhut bhi hain ye laut bhi hain ye jang bhi hain ye khun bhi hain
magar ye majburiyan hain un ki
baghair un ke hayat sari tawahhumiti
har ek harkat sukut thahre
na kah saken kuchh na sun saken kuchh
har ek aina apni akkasiyon pe hairan ho aur chup ho
nigah-e-nazara bin tamasha ho wahshaton ka
ijazat jalwa de ke jaise zaban se goyai chhin li jae
na husn kuchh ho na ishq kuchh ho
tamam ehsas ki hawaen tamam irfan ke jazire tamam ye ilm ke samundar
sarab hun wahm hun guman hun
ye lafz tesha hain jin se afkar apni surat tarashte hain
masih dast-o-qalam se niklen to phir ye alfaz bolte hain
yahi musawwir yahi hain but gar yahi hain shayar
yahi mughanni yahi nawa hain
yahi payambar yahi khuda hain
main kimiya hun ye kimiya gar
ye mera kalyan chahte hain
main un ki taskhir kar raha hun
ye meri taamir kar rahe hain