آغوش والدہ میں پالا تھا ہم کو جس نے
Kaif Ahmed Siddiqui (1943–1986)آغوش والدہ میں پالا تھا ہم کو جس نے
اک پیکر ادب میں ڈھالا تھا ہم کو جس نے
جس نے ہے ابتدا سے ہر زندگی سنواری
وہ مادری زباں ہے اردو زباں ہماری
بچپن میں جس نے میٹھی لوری سنائی ہم کو
جس کے طفیل جھولے میں نیند آئی ہم کو
رس گھولتی ہے جس کی آواز پیاری پیاری
وہ مادری زباں ہے اردو زباں ہماری
جس کی مدد سے ہم نے اپنی زبان کھولی
جس میں سما گئی ہے سارے جہاں کی بولی
جس کی ہر اک صفت ہے سو خوبیوں پہ بھاری
وہ مادری زباں ہے اردو زباں ہماری
جس سے مٹا جہالت کی رات کا اندھیرا
ہندوستاں میں چمکا تہذیب کا سویرا
ہے جس کی روشنی کا ہر گھر میں فیض جاری
وہ مادری زباں ہے اردو زباں ہماری
وہ کرشنؔ ہوں کہ بیدیؔ چکبستؔ ہوں کہ طالبؔ
محرومؔ ہوں کہ حالیؔ اقبالؔ ہوں کہ غالبؔ
صدیوں ہر اہل مذہب جس کا رہا پجاری
وہ مادری زباں ہے اردو زباں ہماری
جس نے خلوص دل سے اے کیفؔ سب کو پالا
جس کا ہر ایک گھر میں اب بھی ہے بول بالا
دشمن کے بھی دلوں پر ہے جس کا خوف طاری
وہ مادری زباں ہے اردو زباں ہماری
aghosh-e-walida mein pala tha ham ko jis ne
ik paikar-e-adab mein dhala tha ham ko jis ne
jis ne hai ibtida se har zindagi sanwari
wo madari zaban hai urdu zaban hamari
bachpan mein jis ne mithi lori sunai ham ko
jis ke tufail jhule mein nind ai ham ko
ras gholti hai jis ki awaz pyari pyari
wo madari zaban hai urdu zaban hamari
jis ki madad se ham ne apni zaban kholi
jis mein sama gai hai sare jahan ki boli
jis ki har ik sifat hai so khubiyon pe bhari
wo madari zaban hai urdu zaban hamari
jis se mita jahalat ki rat ka andhera
hindostan mein chamka tahzib ka sawera
hai jis ki raushni ka har ghar mein faiz jari
wo madari zaban hai urdu zaban hamari
wo krishn hun ke baidi chukbast hun ke talib
mahrum hun ke hali iqbal hun ke ghalib
sadiyon har ahl-e-mazhab jis ka raha pujari
wo madari zaban hai urdu zaban hamari
jis ne khulus-e-dil se ai kaif sab ko pala
jis ka har ek ghar mein ab bhi hai bol bala
dushman ke bhi dilon par hai jis ka khauf tari
wo madari zaban hai urdu zaban hamari