تمہارے لمس کی خوشبو نے صندل کر دیا ہے
Jahan Ara Tabassum (b. 1970)تمہارے لمس کی خوشبو نے صندل کر دیا ہے
کہ میں پاگل تھی تم نے اور پاگل کر دیا ہے
تمازت ہجر کی پھر سے بدن جھلسا رہی تھی
تمہاری یاد کو پھر ہم نے بادل کر دیا ہے
ہمارے واسطے آساں نہیں تھا پھر بھی ہم نے
تمہیں لپٹا کے تم کو اپنا آنچل کر دیا ہے
مقدر کی سیاہی آج کچھ تو کام آئی
سجا کے آنکھ میں اس کو بھی کاجل کر دیا ہے
میں صحرا کی طرح بنجر تھی لیکن اے مری جاں
تمہارے پیار کی بارش نے جل تھل کر دیا ہے
یہاں اک ہنستا بستا شہرا ہوتا تھا تبسمؔ
جسے انسان کی وحشت نے جنگل کر دیا ہے
tumhare lams ki khushbu ne sandal kar diya hai
ke main pagal thi tum ne aur pagal kar diya hai
tamazat hijr ki phir se badan jhulsa rahi thi
tumhari yad ko phir ham ne badal kar diya hai
hamare waste asan nahin tha phir bhi ham ne
tumhen lipta ke tum ko apna anchal kar diya hai
muqaddar ki siyahi aj kuchh to kam ai
saja ke ankh mein us ko bhi kajal kar diya hai
main sahra ki tarah banjar thi lekin ai miri jan
tumhare pyar ki barish ne jal thal kar diya hai
yahan ik hansta basta shahra hota tha tabassum
jise insan ki wahshat ne jangal kar diya hai