میں تو اک وجود خیال ہوں
Jagdish Prakash (b. 1935)میں تو اک وجود خیال ہوں
مجھے جس طرح سے بھی سوچ لو
میں یقیں بھی ہوں میں گماں بھی ہوں
میں یہاں بھی ہوں میں وہاں بھی ہوں
کبھی فکر میں کبھی ذکر میں
کبھی جوش میں کبھی ہوش میں
کبھی خود سے خود کی تلاش میں
کبھی میں نہیں کبھی جاں نہیں
کہ میں مبتلائے جنون ہوں
میں خودی میں خود کا سکون ہوں
یہی عشق ہے مرا کارواں
میں کدھر نہیں میں کہاں نہیں
مرا یار مجھ میں میں یار میں
میں ہوں بے خودی کے خمار میں
مرا یار مجھ میں ہے رقص زن
میں رواں رواں بھی رواں نہیں
مری راحتوں میں تو جلوہ گر
مری وحشتوں کا تو ہم سفر
مرا ہجر تو مرا وصل تو
مرے گھر کا ایک پتا ہے بس
جہاں تو نہیں میں وہاں نہیں
main to ik wajud khayal hun
mujhe jis tarah se bhi soch lo
main yaqin bhi hun main guman bhi hun
main yahan bhi hun main wahan bhi hun
kabhi fikr mein kabhi zikr mein
kabhi josh mein kabhi hosh mein
kabhi khud se khud ki talash mein
kabhi main nahin kabhi jan nahin
ke main mubtala-e-junun hun
main khudi mein khud ka sukun hun
yahi ishq hai mira karwan
main kidhar nahin main kahan nahin
mira yar mujh mein main yar mein
main hun be khudi ke khumar mein
mira yar mujh mein hai raqs zan
main rawan rawan bhi rawan nahin
miri rahaton mein to jalwa gar
miri wahshaton ka to ham safar
mira hijr to mira wasl to
mire ghar ka ek pata hai bas
jahan to nahin main wahan nahin