چڑھتی کہیں کہیں سے اترتی ہیں سیڑھیاں
Ghaus Khah makhah Hyderabadi (1929–2017)چڑھتی کہیں کہیں سے اترتی ہیں سیڑھیاں
جانے کہاں کہاں سے گزرتی ہیں سیڑھیاں
یادوں کے جھلملاتے ستارے لئے ہوئے
ماضی کی کہکشاں سے اترتی ہیں سیڑھیاں
لیتی ہیں یوں سفر میں مسافر کا امتحاں
ہموار راستوں پہ ابھرتی ہیں سیڑھیاں
کرتی ہیں سر غرور کا نیچے اتار کر
پستی کا سر بلند بھی کرتی ہیں سیڑھیاں
تاریکیوں کو اوڑھ کے سوتی ہیں رات بھر
سورج کی روشنی میں نکھرتی ہیں سیڑھیاں
ہلتی نہیں ہلائے سے ثابت قدم تلے
مہکیں اگر قدم تو بہکتی ہیں سیڑھیاں
منبر پہ چڑھ کے بیٹھتی ہیں واعظوں کے ساتھ
رندوں سے چھیڑ چھاڑ بھی کرتی ہیں سیڑھیاں
جب کوئی حال پوچھنے آئے نہ مدتوں
اندر سے ٹوٹ پھوٹ کے مرتی ہیں سیڑھیاں
یادوں کے پھونک پھونک کے رکھنے پڑے قدم
زخموں سے دل کے جب بھی سنورتی ہیں سیڑھیاں
لیتی ہیں بڑھ کے سب کے قدم تو لگا مجھے
تنہائی کے عذاب سے ڈرتی ہیں سیڑھیاں
یوں دل میں تیری بات اترتی ہے ؔخواہ مخواہ
گہرے کنویں میں جیسے اترتی ہیں سیڑھیاں
charhti kahin kahin se utarti hain sirhiyan
jane kahan kahan se guzarti hain sirhiyan
yadon ke jhilmilate sitare liye hue
mazi ki kahkashan se utarti hain sirhiyan
leti hain yun safar mein musafir ka imtihan
hamwar raston pe ubharti hain sirhiyan
karti hain sar ghurur ka niche utar kar
pasti ka sar buland bhi karti hain sirhiyan
tarikiyon ko orh ke soti hain rat bhar
suraj ki raushni mein nikharti hain sirhiyan
hilti nahin hilae se sabit qadam tale
mahken agar qadam to bahakti hain sirhiyan
mimbar pe charh ke baithti hain waizon ke sath
rindon se chher chhar bhi karti hain sirhiyan
jab koi hal puchhne ae na muddaton
andar se tut phut ke marti hain sirhiyan
yadon ke phunk phunk ke rakhne pare qadam
zakhmon se dil ke jab bhi sanwarti hain sirhiyan
leti hain barh ke sab ke qadam to laga mujhe
tanhai ke azab se darti hain sirhiyan
yun dil mein teri bat utarti hai khwah makhwah
gahre kuen mein jaise utarti hain sirhiyan