شاعری کی دو صنفیں ہیں نظم و غزل
Hafiz Karnataki (b. 1964)شاعری کی دو صنفیں ہیں نظم و غزل
اردو میں ان کی شہرت ہے بچو اٹل
نظم پابند ہے نظم آزاد بھی
یہ کبھی نثر ہے اور معرا کبھی
نظم پابند میں وزن ہوگا میاں
اور آزاد میں بھی ہے اس کا نشاں
نظم پابند کا طرز ہے جو لطیف
اس میں پاؤ گے تم قافیہ و ردیف
نثری نظموں میں بس نثر ہی نثر ہے
وزن اور قافیہ ہے نہ ہی بحر ہے
وزن اور قافیے جن کو مشکل ہوئے
نثری نظمیں عموماً وہ کہتے لگے
وزن نظم معرا میں ہے دوستو
اس کو تم بے ردیف و قوافی کہو
مثنوی ہو قصیدہ ہو یا مرثیہ
نظم کا ملتا ہے بچو ہم کو پتا
نظم میں سلسلہ ہے خیالات کا
ایک دریا سا ہے دیکھو جذبات کا
وہ مخمس ہو یا ہو مسدس کوئی
یہ بھی اک شکل ہے نظم پابند کی
وہ غزل ہو کہ ہو نظم بچو سنو
دونوں یکساں ہیں شہرت میں بس جان لو
جوشؔ کی نظمیں مشہور ہیں ہر جگہ
ہیں غزل کے جگرؔ واقعی بادشہ
نظم میں جو کہانی کہی جائے گی
شوق سے اے میاں وہ سنی جائے گی
نظمیں سیماب و اقبال نے بھی لکھیں
جو نہایت ہی مشہور ثابت ہوئیں
کرتا ہوں بچوں کے واسطے میں دعا
نظمیں بچوں کی لکھتا ہوں حافظؔ سدا
shayari ki do sinfen hain nazm-o-ghazal
urdu mein un ki shohrat hai bachcho atal
nazm paband hai nazm-e-azad bhi
ye kabhi nasr hai aur muarra kabhi
nazm paband mein wazn hoga miyan
aur azad mein bhi hai us ka nishan
nazm paband ka tarz hai jo latif
is mein paoge tum qafiya-o-radif
nasri nazmon mein bas nasr hi nasr hai
wazn aur qafiya hai na hi bahr hai
wazn aur qafiye jin ko mushkil hue
nasri nazmen umuman wo kahte lage
wazn nazm-e-muarra mein hai dosto
us ko tum be radif-o-quufi kaho
masnawi ho qasida ho ya marsiya
nazm ka milta hai bachcho ham ko pata
nazm mein silsila hai khayalat ka
ek dariya sa hai dekho jazbat ka
wo mukhammas ho ya ho musaddas koi
ye bhi ik shakl hai nazm paband ki
wo ghazal ho ke ho nazm bachcho suno
donon yaksan hain shohrat mein bas jan lo
josh ki nazmen mashhur hain har jagah
hain ghazal ke jigar waqai badshah
nazm mein jo kahani kahi jaegi
shauq se ai miyan wo suni jaegi
nazmen simab-o-iqbal ne bhi likhen
jo nihayat hi mashhur sabit huin
karta hun bachchon ke waste main dua
nazmen bachchon ki likhta hun hafiz sada