یہ رات اس درد کا شجر ہے
Faiz Ahmad Faiz (1911–1984)یہ رات اس درد کا شجر ہے
جو مجھ سے تجھ سے عظیم تر ہے
عظیم تر ہے کہ اس کی شاخوں
میں لاکھ مشعل بکف ستاروں
کے کارواں گھر کے کھو گئے ہیں
ہزار مہتاب اس کے سائے
میں اپنا سب نور رو گئے ہیں
یہ رات اس درد کا شجر ہے
جو مجھ سے تجھ سے عظیم تر ہے
مگر اسی رات کے شجر سے
یہ چند لمحوں کے زرد پتے
گرے ہیں اور تیرے گیسوؤں میں
الجھ کے گلنار ہو گئے ہیں
اسی کی شبنم سے خامشی کے
یہ چند قطرے تری جبیں پر
برس کے ہیرے پرو گئے ہیں
۲
بہت سیہ ہے یہ رات لیکن
اسی سیاہی میں رونما ہے
وہ نہر خوں جو مری صدا ہے
اسی کے سائے میں نور گر ہے
وہ موج زر جو تری نظر ہے
وہ غم جو اس وقت تیری بانہوں
کے گلستاں میں سلگ رہا ہے
وہ غم جو اس رات کا ثمر ہے
کچھ اور تپ جائے اپنی آہوں
کی آنچ میں تو یہی شرر ہے
ہر اک سیہ شاخ کی کماں سے
جگر میں ٹوٹے ہیں تیر جتنے
جگر سے نوچے ہیں اور ہر اک
کا ہم نے تیشہ بنا لیا ہے
۳
الم نصیبوں جگر فگاروں
کی صبح افلاک پر نہیں ہے
جہاں پہ ہم تم کھڑے ہیں دونوں
سحر کا روشن افق یہیں ہے
یہیں پہ غم کے شرار کھل کر
شفق کا گلزار بن گئے ہیں
یہیں پہ قاتل دکھوں کے تیشے
قطار اندر قطار کرنوں
کے آتشیں ہار بن گئے ہیں
یہ غم جو اس رات نے دیا ہے
یہ غم سحر کا یقیں بنا ہے
یقیں جو غم سے کریم تر ہے
سحر جو شب سے عظیم تر ہے
ye rat is dard ka shajar hai
jo mujh se tujh se azim tar hai
azim tar hai ke us ki shakhon
main lakh mashal bakaf sitaron
ke karwan ghar ke kho gae hain
hazar mahtab us ke sae
main apna sab nur ro gae hain
ye rat is dard ka shajar hai
jo mujh se tujh se azim tar hai
magar isi rat ke shajar se
ye chand lamhon ke zard patte
gire hain aur tere gesuon mein
ulajh ke gulnar ho gae hain
usi ki shabnam se khamushi ke
ye chand qatre tiri jabin par
baras ke hire piro gae hain
۲
bahut siyah hai ye rat lekin
isi siyahi mein runuma hai
wo nahr khun jo miri sada hai
usi ke sae mein nur gar hai
wo mauj-e-zar jo tiri nazar hai
wo gham jo is waqt teri banhon
ke gulsitan mein sulag raha hai
wo gham jo is rat ka samar hai
kuchh aur tap jae apni ahon
ki anch mein to yahi sharar hai
har ik siyah shakh ki kaman se
jigar mein tute hain tir jitne
jigar se noche hain aur har ik
ka ham ne tesha bana liya hai
۳
alam nasibon jigar figaron
ki subh aflak par nahin hai
jahan pe ham tum khare hain donon
sahar ka raushan ufuq yahin hai
yahin pe gham ke sharar khul kar
shafaq ka gulzar ban gae hain
yahin pe qatil dukhon ke teshe
qatar andar qatar kirnon
ke atishin har ban gae hain
ye gham jo is rat ne diya hai
ye gham sahar ka yaqin bana hai
yaqin jo gham se karim tar hai
sahar jo shab se azim tar hai