اک روز اپنے آپ کو میں نے
Faisal Azeem (b. 1974)اک روز اپنے آپ کو میں نے
خلا کی وسعتوں سے جھانک کر دیکھا
تو وحشت میں پلٹ آیا
کہیں پر دور اک نقطہ سا روشن تھا
اور اس نقطے میں اک ذرہ نظر آیا
زمیں کہیے زماں کہیے کہ اپنا آسماں کہیے
سبھی کچھ اس میں گم پایا
وہی ذرہ
کہ جس کی وسعتوں کو بانٹ کر ہم نے
کئی خطے بنا ڈالے
اور ان خطوں میں ہم نے سرحدیں بھی خوب کھینچی ہیں
سو اک سرحد کے اندر بھی کئی ٹکڑے نظر آئے
کہ جن ٹکڑوں کے ٹکڑوں میں کہیں اک شہر بستا ہے
کہ جس کے ایک ٹکڑے میں پرانا اک محلہ ہے
سو اس کے ایک حصے میں کوئی چھوٹا سا گھر ہوگا
اور اس گھر کے کسی کمرے کے کونے میں
کوئی اپنی حقیقت لکھ رہا ہوگا
ik roz apne ap ko main ne
khala ki wusaton se jhank kar dekha
tu wahshat mein palat aya
kahin par dur ik nuqta sa raushan tha
aur is nuqte mein ik zarra nazar aya
zamin kahiye zaman kahiye ke apna asman kahiye
sabhi kuchh is mein gum paya
wahi zarra
ke jis ki wusaton ko bant kar ham ne
kai khitte bana dale
aur in khaton mein ham ne sarhaden bhi khub khinchi hain
so ik sarhad ke andar bhi kai tukre nazar ae
ke jin tukron ke tukron mein kahin ik shahr basta hai
ke jis ke ek tukre mein purana ik mohalla hai
so us ke ek hisse mein koi chhota sa ghar hoga
aur is ghar ke kisi kamre ke kone mein
koi apni haqiqat likh raha hoga