خالی گلاس کے مقدر میں
Ehtisham Akhtar (b. 1944)خالی گلاس کے مقدر میں
ہونٹوں کا لمس ہاتھوں کی نرمی کہاں
شبنم روتی ہے اسے فنا کا غم ہے
لمس کی قیمت کا احساس نہیں ہے اس کو
پھولوں کی آغوش میں موت بھی
حسین ہو جاتی ہے زندگی کی طرح
خوش قسمت ہیں وہ لفافے
جن پر ثبت ہوتی ہے مہر
حسین لبوں کی
مجھے بھی کوئی چھو لے
مجھے بھی کوئی پی لے
میں پھر ٹوٹ پھوٹ جاؤں گا
خالی گلاس کے مقدر میں مگر
ہونٹوں کا لمس ہاتھوں کی نرمی کہاں
khali gilas ke muqaddar mein
honton ka lams hathon ki narmi kahan
shabnam roti hai use fana ka gham hai
lams ki qimat ka ehsas nahin hai us ko
phulon ki aghosh mein maut bhi
hasin ho jati hai zindagi ki tarah
khush qismat hain wo lifafe
jin par sabt hoti hai mehr
hasin labon ki
mujhe bhi koi chhu le
mujhe bhi koi pi le
main phir tut phut jaunga
khali gilas ke muqaddar mein magar
honton ka lams hathon ki narmi kahan