زندگی
Ehtisham Akhtar (b. 1944)زندگی
بس کی قطار کے عشق کی طرح
سطحی سہی لیکن
بے کیف نہیں
زندگی دل کش ہے
شہر کے ہنگاموں کی طرح
میں ہنگاموں کا
دل دادہ ہوں
خموشی سے نفرت ہے مجھے
کہ میں خاموشی میں
بیتے کل کی ٹک ٹک
گھڑی کی طرح
سن نہیں سکتا
zindagi
bas ki qatar ke ishq ki tarah
sathi sahi lekin
be kaif nahin
zindagi dil kash hai
shahr ke hangamon ki tarah
main hangamon ka
dil dada hun
khamoshi se nafrat hai mujhe
ke main khamoshi mein
bite kal ki tuk tuk
ghari ki tarah
sun nahin sakta