ٹوٹی ہوئی بوتل کی طرح
Ehtisham Akhtar (b. 1944)ٹوٹی ہوئی بوتل کی طرح
بے کار بے مقصد
زندگی کے طاق میں
رکھا ہوا ہوں میں
وہ کون تھا جو چھوڑ گیا
میرے وجود کے شیشے پر
اپنی لہو رنگ یادوں کے
نشاں
اس سے پہلے کہ بارش
ان نشانات کو دھو ڈالے
میں ریزہ ریزہ ہو جاؤں
فرش پر بکھر جاؤں
وقت کے پیروں میں چبھ جاؤں
فرش زمیں کو رنگیں کر دوں
اور خود بھی رنگیں ہو جاؤں
tuti hui botal ki tarah
be kar be maqsad
zindagi ke taq mein
rakha hua hun main
wo kaun tha jo chhor gaya
mere wajud ke shishe par
apni lahu rang yadon ke
nishan
is se pahle ke barish
un nishanat ko dho dale
main reza reza ho jaun
farsh par bikhar jaun
waqt ke pairon mein chubh jaun
farsh-e-zamin ko rangin kar dun
aur khud bhi rangin ho jaun