گرمیٔ خورشید کا
Balraj Komal (1928–2013)گرمیٔ خورشید کا
ایک نقش مضطرب
روزن دیوار شب
خوش ادا پر کار ہے
نور سے سرشار ہے
سیل موج شہر میں
وہ اترنے کو ہے اب
خیر مقدم کے لیے
جاگتے ہیں چشم و لب
میری خاطر شہر میں
وہ فروزاں جسم و جاں
وہ درخشاں پیرہن
وہ سنہرا بانکپن
شعلۂ تنویر ہے
خون میں تحلیل ہے
صبح کی تصویر ہے
اس کا روئے شادماں
حشر کے ہنگام تک
میرے دل میں جاوداں
garmi-e-khurshid ka
ek naqsh-e-muztarib
rauzan-e-diwar-e-shab
khush ada par kar hai
nur se sarshar hai
sail-e-mauj-e-shahr mein
wo utarne ko hai ab
khair maqdam ke liye
jagte hain chashm-o-lab
meri khatir shahr mein
wo farozan jism-o-jan
wo darakhshan pairahan
wo sunahra bankpan
shola-e-tanwir hai
khun mein tahlil hai
subh ki taswir hai
us ka roe shadman
hashr ke hangam tak
mere dil mein jawedan