پلٹ کر دیکھ بھر سکتی ہیں
Aadil Raza Mansoori (b. 1978)پلٹ کر دیکھ بھر سکتی ہیں
بھیڑیں
بولنا چاہیں بھی تو بولیں گی کیسے
ہو چکی ہیں سلب آوازیں کبھی کی
لوٹنا ممکن نہیں ہے
صرف چلنا اور چلتے رہنا ہے
خوابوں کے غار کی جانب
جس کا رستہ
سنہرے بھیڑیوں کے دانتوں سے ہو کر گزرتا ہے
palat kar dekh bhar sakti hain
bhiren
bolna chahen bhi to bolengi kaise
ho chuki hain salb awazen kabhi ki
lautna mumkin nahin hai
sirf chalna aur chalte rahna hai
khwabon ke ghar ki janib
jis ka rasta
sunahre bheriyon ke danton se ho kar guzarta hai