خود کو ہر روز امتحان میں رکھ
Umair Manzar (b. 1974)خود کو ہر روز امتحان میں رکھ
بال و پر کاٹ کر اڑان میں رکھ
سن کے دشمن بھی دوست ہو جائے
شہد سے لفظ بھی زبان میں رکھ
یہ تو سچ ہے کہ وہ ستم گر ہے
در پر آیا ہے تو امان میں رکھ
مرحلے اور آنے والے ہیں
تیر اپنا ابھی کمان میں رکھ
وقت سب سے بڑا محاسب ہے
بات اتنی مری دھیان میں رکھ
تذکرہ ہو ترا زمانے میں
ایسا پہلو کوئی بیان میں رکھ
تجھ کو نسلیں خدا نہ کہہ بیٹھیں
اپنی تصویر مت مکان میں رکھ
جس کی قسمت ہے بے گھری منظرؔ
ان کو تو اپنے سائبان میں رکھ
khud ko har roz imtihan mein rakh
bal-o-par kat kar uran mein rakh
sun ke dushman bhi dost ho jae
shahd se lafz bhi zaban mein rakh
ye to sach hai ke wo sitam gar hai
dar par aya hai to aman mein rakh
marhale aur ane wale hain
tir apna abhi kaman mein rakh
waqt sab se bara muhasib hai
bat itni miri dhyan mein rakh
tazkira ho tira zamane mein
aisa pahlu koi bayan mein rakh
tujh ko naslen khuda na kah baithen
apni taswir mat makan mein rakh
jis ki qismat hai be ghiri manzar
un ko to apne saiban mein rakh