قربتیں ہوتے ہوئے بھی فاصلوں میں قید ہیں
Saleem Kausarقربتیں ہوتے ہوئے بھی فاصلوں میں قید ہیں
کتنی آزادی سے ہم اپنی حدوں میں قید ہیں
کون سی آنکھوں میں میرے خواب روشن ہیں ابھی
کس کی نیندیں ہیں جو میرے رتجگوں میں قید ہیں
شہر آبادی سے خالی ہو گئے خوشبو سے پھول
اور کتنی خواہشیں ہیں جو دلوں میں قید ہیں
پاؤں میں رشتوں کی زنجیریں ہیں دل میں خوف کی
ایسا لگتا ہے کہ ہم اپنے گھروں میں قید ہیں
یہ زمیں یوں ہی سکڑتی جائے گی اور ایک دن
پھیل جائیں گے جو طوفاں ساحلوں میں قید ہیں
اس جزیرے پر ازل سے خاک اڑتی ہے ہوا
منزلوں کے بھید پھر بھی راستوں میں قید ہیں
کون یہ پاتال سے ابھرا کنارے پر سلیمؔ
سر پھری موجیں ابھی تک دائروں میں قید ہیں
qurbaten hote hue bhi faslon mein qaid hain
kitni azadi se ham apni hadon mein qaid hain
kaun si ankhon mein mere khwab raushan hain abhi
kis ki ninden hain jo mere ratjagon mein qaid hain
shahr abadi se khali ho gae khushbu se phul
aur kitni khwahishen hain jo dilon mein qaid hain
paon mein rishton ki zanjiren hain dil mein khauf ki
aisa lagta hai ke ham apne gharon mein qaid hain
ye zamin yun hi sukarti jaegi aur ek din
phail jaenge jo tufan sahilon mein qaid hain
is jazire par azal se khak urti hai hawa
manzilon ke bhed phir bhi raston mein qaid hain
kaun ye patal se ubhra kinare par salim
sar phiri maujen abhi tak dairon mein qaid hain