ہماری طرح کوئی دوسرا ہوا بھی نہیں
Pirzada Qasimہماری طرح کوئی دوسرا ہوا بھی نہیں
وہ درد دل میں رکھا ہے جو لا دوا بھی نہیں
ہمارا درد عجب مرحلے میں ہے کہ جہاں
وہ بے سخن بھی نہیں اور لب کشا بھی نہیں
اسی کو دیکھتی رہتی ہے چشم شوق مدام
جو غم ابھی سر شاخ الم کھلا بھی نہیں
عجیب طرح سے روشن ہوئی ہے خلوت غم
کہ روشنی ہے بہت اور دیا جلا بھی نہیں
یہ دشت شوق بہت عافیت گزیدہ ہے
کہ اب یہاں پہ تو امکان نقش پا بھی نہیں
گزر ہے کیسی فضاؤں سے آج طائر عشق
کہ زیر بازوئے پرواز اب خلا بھی نہیں
میں ایسے شخص کو زندوں میں کیا شمار کروں
جو سوچتا بھی نہیں خواب دیکھتا بھی نہیں
یہ عشق خاک ہی ہونے کا نام تھا سو ہمیں
صلہ ملا بھی بہت اور صلہ ملا بھی نہیں
یہ عصر نو کی چتاؤں میں آگ کیسی ہے
کہ روح راکھ ہوئی اور بدن جلا بھی نہیں
تمام عمر عجب وضع داریوں میں کٹی
اسے عزیز رکھا جو ہمارا تھا بھی نہیں
hamari tarah koi dusra hua bhi nahin
wo dard-e-dil mein rakha hai jo la dawa bhi nahin
hamara dard ajab marhale mein hai ke jahan
wo be sukhan bhi nahin aur lab kusha bhi nahin
usi ko dekhti rahti hai chashm-e-shauq mudam
jo gham abhi sar-e-shakh-e-alam khula bhi nahin
ajib tarah se raushan hui hai khalwat-e-gham
ke raushni hai bahut aur diya jala bhi nahin
ye dasht-e-shauq bahut afiyat gazida hai
ke ab yahan pe to imkan naqsh-e-pa bhi nahin
guzar hai kaisi fazaon se aj tair-e-ishq
ke zer-e-bazu-e-parwaz ab khala bhi nahin
main aise shakhs ko zindon mein kya shumar karun
jo sochta bhi nahin khwab dekhta bhi nahin
ye ishq khak hi hone ka nam tha so hamen
sila mila bhi bahut aur sila mila bhi nahin
ye asr-e-nau ki chitaon mein ag kaisi hai
ke ruh rakh hui aur badan jala bhi nahin
tamam umr ajab waza dariyon mein kati
use aziz rakha jo hamara tha bhi nahin