کون گماں یقیں بنا کون سا گھاؤ بھر گیا
Pirzada Qasimکون گماں یقیں بنا کون سا گھاؤ بھر گیا
جیسے سبھی گزر گئے جونؔ بھی کل گزر گیا
اس کا چراغ وصل تو ہجر سے رابطے میں تھا
وہ بھی نہ جل سکا ادھر یہ بھی ادھر بکھر گیا
زیست کی رونقیں تمام اس کی تلاش میں رہیں
اور وہ غم نژاد جونؔ کس کو خبر کدھر گیا
گام بہ گام اک بہشت اور وہ اس کی ایک ہشت
راہ میں بھی رکا نہیں اور نہ اپنے گھر گیا
رسم سپردگی کو کب درخور اعتنا کہا
خود سے جو تھا گریز پا سب سے گریز کر گیا
اس کے سخن کا معجزہ اس کی نہیں میں دیکھیے
ہاں بھی ہے ماجرا مگر جونؔ کہاں ادھر گیا
اس کو تھا سخت اختلاف زیست کے متن سے سو وہ
بر سر حاشیہ رہا اور کمال کر گیا
اس کے خیال کی نمود عہد بہ عہد جاوداں
بس یہ کہو کہ جونؔ ہے یہ نہ کہو کہ مر گیا
kaun guman yaqin bana kaun sa ghao bhar gaya
jaise sabhi guzar gae jon bhi kal guzar gaya
us ka charagh wasl to hijr se rabte mein tha
wo bhi na jal saka idhar ye bhi idhar bikhar gaya
zist ki raunaqen tamam us ki talash mein rahen
aur wo gham nazhad jon kis ko khabar kidhar gaya
gam ba gam ik bahisht aur wo us ki ek hasht
rah mein bhi ruka nahin aur na apne ghar gaya
rasm-e-supurdagi ko kab darkhur-e-etina kaha
khud se jo tha gurez pa sab se gurez kar gaya
us ke sukhan ka mojiza us ki nahin main dekhiye
han bhi hai majra magar jon kahan idhar gaya
us ko tha sakht ikhtilaf zist ke matn se so wo
bar sar-e-hashiya raha aur kamal kar gaya
us ke khayal ki numud ahd ba ahd-e-jawedan
bas ye kaho ke jon hai ye na kaho ke mar gaya