میری ساری زندگی کو بے ثمر اس نے کیا
Munir Niazi (1928–2006)میری ساری زندگی کو بے ثمر اس نے کیا
عمر میری تھی مگر اس کو بسر اس نے کیا
میں بہت کمزور تھا اس ملک میں ہجرت کے بعد
پر مجھے اس ملک میں کمزور تر اس نے کیا
راہبر میرا بنا گمراہ کرنے کے لیے
مجھ کو سیدھے راستے سے در بہ در اس نے کیا
شہر میں وہ معتبر میری گواہی سے ہوا
پھر مجھے اس شہر میں نا معتبر اس نے کیا
شہر کو برباد کر کے رکھ دیا اس نے منیرؔ
شہر پر یہ ظلم میرے نام پر اس نے کیا
meri sari zindagi ko be samar us ne kiya
umr meri thi magar us ko basar us ne kiya
main bahut kamzor tha is mulk mein hijrat ke baad
par mujhe is mulk mein kamzor tar us ne kiya
rahbar mera bana gumrah karne ke liye
mujh ko sidhe raste se dar ba dar us ne kiya
shahr mein wo motabar meri gawahi se hua
phir mujhe is shahr mein na motabar us ne kiya
shahr ko barbad kar ke rakh diya us ne munir
shahr par ye zulm mere nam par us ne kiya